Saturday 9 April 2011

Fight Against Corruption

Aaj pura desh Anna ka sath dene ki baat kar raha par kya sahi mayne mein hum log iske liye taiyar hain. Shayad nahi. Hum Bharat vasi jyada se jyada ek SMS bhej denge par usse jyada kuch nahi. Agar aaj main chaaho ki main bhi ANNA Hazare ji ke sath main upwas rakhu to kya log usko sarahenge.? Logo ki to chodo kya mere ghar wale sath denge. Koi kahega tujhe kya padi hain. Tere ek upwas karne na karne par kaunsi jo sarkar hil jaani hain. Tu kya akela bach gaya yeh sab katrne ke liye, aur bhi bahut kuch sunne ko milega. Par shayad hum yah kyun bhul jaate hain ki shayad hamare isi rawiaye ki vajah se aaj tak desh ka yeh haal bana hua hain. Agar maine akele ne aisa kar diya toh kya farak pad jayega. Sab rishvat dete hain, main ek nahi dunga toh kaunsa jo desh sudhar jaayega. Shayad hume apne aap se yeh puchna chahiye ki kya is soch mein parivartan ki jarurat hain???

No comments:

Post a Comment